नमस्कार मैं KKSB स्वागत करता हूं मेरी इस सुंदर कविता में School Ka Safar स्कूल का सफर: कक्षा 1 से 12 तक की यादों और अनुभवों पर आधारित यह प्रेरणादायक कविता आपके दिल को छू लेगी। यह कविता School Life स्कूल जीवन के अनमोल पलों school life memories, दोस्तों के साथ बिताए गए समय, और बाल्यावस्था से किशोरावस्था तक की यात्रा को खूबसूरती से बयां करती है। छात्र जीवन की यह अनोखी कहानी स्कूल के दिनों की मस्ती, शिक्षकों के मार्गदर्शन, और उन School Nostalgia यादगार लम्हों को ताजा करती है जो हमें जीवनभर प्रेरित करते हैं।
यह कविता सिर्फ स्कूल की यादें ही नहीं, बल्कि उन भावनाओं का भी प्रतीक है जो हमें पहली कक्षा में कदम रखने से लेकर बारहवीं तक के सफर में महसूस होती हैं। स्कूल के दिन School days, दोस्ती की मिठास, Student Life experince परीक्षा का दबाव, और हर छोटी-बड़ी उपलब्धि की खुशी—इन सभी को इस कविता में भावपूर्ण तरीके से पिरोया गया है।
जो लोग School life poetry स्कूल जीवन की कविताओं, छात्र अनुभवों, और बचपन की यादों को महसूस करना चाहते हैं, Poetry on childhood memories उनके लिए यह कविता एक खजाना है। यह न केवल आपके पुराने दिनों की याद दिलाएगी, बल्कि आपको उन भावनाओं से जोड़ देगी school Journey emotion जो स्कूल छोड़ने के बाद भी हमारे साथ रहती हैं।
इस कविता के जरिए एक बार फिर से अपने स्कूल के दिनों को जिएं और उस अद्भुत यात्रा का अनुभव करें जिसने हमें हमारे जीवन के लिए तैयार किया। मैं आए दिन कुछ ना कुछ लिखता ही रहता हूं मैं स्कूल लाइफ से संबंधित और भी कविताएं शायरियां लिखी है आपने मेरी वेबसाइट http://wordsbykksb.com पर देख सकते हैं
School Ka Safar Poetry
Purani yaadon par behed muskurate hain, chalo aaj aapke school ka safar yaad karvate hain,
Woh din yaad hai jab hum pehli baar school jaate hain,
Baste mein sirf ek copy magar aankhon mein aansuon ka sailaab lekar jaate hain.
Ghar ki kitni yaad aati hai, par waqt ke saath aadat ban jaati hai,
Dost ka matlab pata nahi hota, par dost ban jaate hain.
Padhne ka mann kiska hota hai? Hum toh masti karna chahte hain,
Dekhte-dekhte saal guzarte hain, aur hum kaksha 5 tak pahunchaate hain.
Ab hum bade ho gaye hain, khud ko aisa sochte hain, par nadaniya kitni karenge.
Kuch isi tarah hum sixth class mein aa jaate hain,
Jaise-jaise classes badhti hain, masti badhti jaati hai,
School ke un dino mein ab ghar ki yaad hi kahan aati hai.
Sports wala period, recess wali masti,
Free period mein antakshari aur chor-sipahi wali parchi.
Seventh nikalne ke baad 8th mein jab aate hain,
Is class tak toh kaafi ghamand mein aa jaate hain,
Arey, ab hum bacche thodi rahe!
Tusar aarti bhi next level hoti hai,
Subah jaldi aakar exchange desk aur chair hoti hai.
Badi classes ke saath pange bakhoobi hum karte hain,
Chalk aur duster ke liye kitna hum ladte hain.
9th class ki toh yaar baat hi alag hai,
Pange karne mein expert ho jaate hain,
Class mein shor karna ho ya function pe chair uthani ho,
School function mein participate chai dhoolak hi bajani ho.
Sab bahaane the class na lagane ke,
Teacher se puchte the toh kehte the,
“Mam, function ki tayyari karne jaana hai.”
Par mam ko kahan pata tha,
Hum toh doston ke saath keemti waqt bitana chahte the.
Yaar, dosti un dino khaas ho gayi thi,
Ek apnapan ka ehsaas ho gayi thi.
Ab isi ehsaas ke saath 10th mein jab aate hain,
Yeh board wale exams kitna dimaag khaate hain.
Khair, fir bhi masti thi, zindagi hasti thi,
Dar-dar ke mahaul mein humne woh 10th class pass ki thi.
Magar 10th wale dost bichhad jaate hain,
Farewell ke baad jab stream mein bant jaate hain.
11th class mein starting mein toh kuch samajh hi nahi aa raha tha,
Yeh streams ka panga hai kya, sab upar-upar se jaa raha tha.
Par zindagi thode dino mein track par aa gayi,
Kuch naye dost bane, kuch purani yaari bha gayi.
Ab masti bahut hoti thi, khayal bunk ke bhi aate the,
Chahe jaise bhi ho situation, hum behed muskurate the.
Aur yaad hai woh school trip, kitni mast nikli thi,
Woh school wali bus jahan apni-apni seat thi.
Usi seat par jab koi aur baithta tha,
Dimaag ekdum garam ho jaata tha.
Aur yaad hai woh barsaat ke din,
Jab chhata school bhool jaate the.
Kitni dafa lade, kitni dafa ek doosre ko sataya,
Magar phir bhi agle din sab bulaya.
Ladai un dino bahut nahi tikti thi.
Aur yaad hai 12th class mein kitni saari masti ki,
Shuruaat mein toh excited the ki ab school life end par hai,
Par kisko maloom tha ki ab toh enjoyment hi khatam hai.
Masti us class mein bhi bahut ki humne,
Woh border wali class pass ki humne.
School life ka sab kuch yaad aaya,
Jis din hui woh farewell party.
Woh dost jo bichhad gaye,
Woh aaj tak yaad karte hain.
Socha milenge after school,
Par yeh sab jhoothi baatein hain.
Khair, beet gayi so baat gayi,
Par school life ki na kabhi yaad gayi
***Hope you like my Poetry On School Life ***
स्कूल से संबंधित और भी शायरी , कविताओं के लिए नीचे दिए गए लिंक पर क्लिक करें
School Ka Pehla Din Poetry : School Life Memories Poetry In Hindi



