2024 Ka Ye Last Mahina Hai
2024 ka ye last mahina hai
Aur iss saal ke sath maine khatam kiye kuch rishte
Gawaye kuch apne aur hasil ki kuch nayi yadein
Maine seekhi kuch batein jaise
Nibhaye nahi jate waade
Nahi karni fariyadein aur
Badhna hai har haal mein aage
Gham bhi guzar jate hai
Jaise ye saal guzrta hai
Har insan waisa nahi hota
Jaisa dikhta hai aur haan tumhari kamiyabi se
Tumhara kareebi insan bhi jalta hai
Iss ne bahot kuch sikha diya
Umeed hai aakhiri mahina ab aur na sataye:)
