” Dosti Tootne Ka Dukh”
Mujhe pyar vyar ke breakup ka itna dukh nahi hota
Jitna dostiyan tootne ka hota hai
Aur ye sach baat hai
Darasal mai dost banane mein thoda
Selective sa hun
Matalab bahot soch samjahkar dost banata hun
Aur jab koi ban jata hai mera dost
Toh mere liye sabkuch ban jata hai mera dost..
Phir uske pass bejhijhak main
Khud ko rakh dunga
Sab bta deta hun usko
Apni acchi buri batein, meri khwaish
Meri soft side aur mera emotional sa man har chiz…
Par at the end
Soch samjahkar banaya gaya dost bhi
De jata hai lagta
Behad lagta hai bura…
Kasam se….
Mujhe doston ke jane ka
Bahot dukh hota hai ЁЯТФ
Han par mai jayada rokta bhi nahi hun
Kyunki jinhe rukna hota hai
Woh jate hi nahi hai



